Dua – Azkar / Zikr (Invocations)

Posted By: Subhani Nadeem.

DUWA ‘AIEN – AZKAR / ZIKR

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith : 10 ghulam aazad , 100 nekiyan aur 100 buraiiyan khatam aur Shaitan se Hifazat .

Abu Huraira Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihey wasallam ne farmaya jo shaksh kahey

لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

LA iLAHA iLLALLAHU Wahdahu La sharika lahu , lahul mulku, wa lahul Hamdu wa huwa ala kulli shay een Qadeer.

Ek din mein 100 baar to usko utna sawab hoga jaisey 10 ghulam aazad kiye aur 100 nekiyan uski likhi jayegi aur 100 buraiiyan uski mita di jayegi aur Shaitaan se usko bacha liya jayega din bhar shaam tak aur Koi shaksh us din us sey behtar amal nahi layega magar jo us sey ziyada amal karey ( yani tasbeeh 100 se jiyada padey) aur jo shkash Subhanallahey wa behamdehi din mein 100 baar kahey uskey gunaah mita diye jaynegey chahey samundar ke jhaag ke barabar ho.
{ Sahih Muslim, Vol6, 6842 }

Hadith :- Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye jayengey.

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahey ki
Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu
(Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bandey aur Rasool hain)
Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye janyegey aur wo shaksh jannat ke jis darwazey se chahey dakhil ho jaye.
{ Sunan nasaii, Vol1, 150 . ( Sahih).

Hadith : Do Kalmey jo Zuban par halkey hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain.

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Do Kalmey jo Zuban par halkey hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur Rahmaan ko bahut aziz hai

سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
{ Sahih Bukhari, Vol 6, 6406 }

Duaa for sick

Aisha {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} apne ghar ke baaz bimariyon par ye dua padh kar dam karte aur dahina hanth (right hand) pherte aur ye dua padhte: “Aye Allah! logon ke palne wale! taklif door kar de, isse shifaa de tuhi shifaa dene wala hai, teri shifaa ke siwa koi shifaa nahi, aisi shifaa de ke kisi qisam ki bimari baqi na rah jaye.”

اللهم رب الناس اذهب الباس اشفي انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما
“Allahumma Rabban-nas, adh-hibil-ba’s, washfi, Antash-Shafee, la shifa’a, ilia shifa’uk, shifa’an la yughadiru saqaman”
{ Sahih-Bukhari, Book: 76, Volume: 07, Hadees-no: 5743 }.

Hadith: Ek Dua jo har dua ke saath maangni chahiye (Subhanallah)
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Rabbana atina fid- dunya hasanatan wa fil ‘akhirati hasanatan waqina ‘adhaban-nar.

Qatada radi allaho anhone anas radi allaho anho se pucha ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam kaunsi dua ziyada maangtey anas radi allaho anho ne farmaya Aap Sallallaho alaihey wasallam aksar ye dua mangtey: Eh Allah, humko duniya mein bhalaii ata farma aur aakhirat mein bhalaii ata farma aur aag (dojakh) ke azab se humko bacha le (Allahumma atina fid-dunya hasanatan wa fil ‘akhirati hasanatan waqina ‘adhaban-nar) aur anas radi allaho anho bhi jab dua kartey to yahi dua kartey aur jab dusri koi dua kartey to usmein bhi ye dua milatey
{ Sahih Muslim : 6840 }

Hadith: 100 baar Subhanallah kaho 1000 Nekiyan le lo aur 1000 gunaah mita do ..

Saad bin Waqas Radi allaho anho se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ke paas they Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kya tum mein se koi aajiz hai Hazar nekiyan roz karney se, Aapkey paas baithney waley ek shaksh ne pucha hum mein se koi hazaar nekiyan kaisey karega to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya 100 baar Subhanallah kahey to 1000 nekiyan uskey liye likhi jayegi aur 1000 gunaah mita diye jayangey
{ Sahih Muslim : 6852 }

Hadith: 10 Ghulam aazad kar lo, 100 Nekiyan bada lo aur 100 gunaah kam kar lo (with in 5 minutes )
Hadith: Sirf 10 baar ye kalma kaho aur 4 Shakash ismaeel alaihey salam ki Aulad mein se aazad karwa

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam ne farmaya jo shaksh kahey LA iLAHA iLLALLAHO Wahdahu La sharika lahu , lahul mulk, wa lahul Hamd wa huwa ala kulley shay een Qadeer. ek din mein 100 baar to usko utna sawab hoga jaisey 10 ghulam aazad kiye aur 100 nekiyan uski likhi jayegi aur 100 buraiiyan uski mita di jayegi aur shaitaan se usko bacha liya jayega din bhar shaam tak aur koi shaksh us din us sey behtar amal nahi layega magar jo us sey ziyada amal karey ( yani tasbeeh 100 se jiyada padey) aur jo shkash Subhanallahey wa behamdehi din mein 100 baar kahey uskey gunaah mita diye jaynegey chahey samundar ke jhaag ke barabar ho.
{ Sahih Bukhari : 6842 }

Amr bin maimun radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya jo LA iLAHA iLLALLAHO Wahdahu La sharika lahu , lahul mulk, wa lahul Hamd, wa huwa ala kulley shayeen Qadeer 10 baar kahey usko itna sawab hoga jaisey Hazrat ismaeel ki aulad mein se 4 shakshon ko aazad karwaya.
{ Sahih Muslim : 6844 }

لا اله الا الله وحده لا شريك له له الملك وله الحمد وهو على كل شي قدير
LA iLAHA iLLALLAHO Wahdahu La sharika lahu , lahul mulk, wa lahul Hamd, wa huwa ala kulley shayeen Qadeer.

Hadith : Manzil mein utarney par ye dua kahey koi cheez nuksaan nahi pahucha sakegi (inshaallah)
Khaula bint Hakim Sulamiyya Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya jo shaksh kisi manzil par utrey phir kahey

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

A` oodhu bi kalimaat Allaah
il-tammaati min sharri ma khalaqa.

to usko koi cheez nuksaan na pahuncha sakegi yaha tak ki wo kooch karey (chala jaye) us jagah se.
{ Sahih Muslim : 6878 }

Main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne farmaya nadar (gareeb) log Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahney wali jannat hasil kar chukey halanki jis tarah hum namaz parhtey hain wo bhi parhtey hain aur jaisey hum rozey rakhtey hain wo bhi rakhtey hain lekin maal wa Daulat ki wajah se unhey hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ kartey hain Umrah kartey hain Jihad kartey hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paatey is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey aur tuharey martabey tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achchey ho jaogey siwa unkey jo yahi amal shuru kar de Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh ( Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer ( Allahu Akbar) kaha karo phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahey . Mainey is par Aap Sallallahu Alaii wasallam se dobara malum kiya to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Subhanallah aur Alhamdulillah aur Allahu akbar kaho taki har ek unmein se 33 martaba ho jaye .
{ Sahih Bukhari, Vol 2, # 843 }

Another hadith Regarding this tasbeeh while sleeping
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Hazrat Fatima Radi allahu anha Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ke paas aayee ek khadim maangney ko aur shikayat ki ke mujhko bahut kaam karna padta hai to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mere paas to khadim nahi hai haan main tujhko wo cheej batata hun jo khadim se behtar hai , 33 baar Subhanallah ( tasbeeh) kah , 33 baar Alhamdulillah (tahmid) kah ,34 baar Allahu akbar (takbeer) kah, jab tu soney lagey.
{ Sahih Muslim, Vol 6, 6918 }

Hadith: Duniya aur Aakhirat dono ke faaydey ke liye Ek Dua

Abu malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ke paas ek shaksh aaya aur bola Ya Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam main kya kahu jab apney Rab se maangu to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kah Allahumma Aghfirli wa Arhamni wa Ahdeni wa Aafini wa Arziqni ( Ya Allah meri maghfirat farma aur mujh par raham farma aur mujhe Hidayat ata farma, aur mujhe Aafiyat ata farma aur mujhe Rizq ata farma) aur Aap Sallallaho Alaihey wasallam en kalmon ko farmatey waqt ek ek ungli band kartey jaatey they , sab band kar li ek angutha (thumb) rah gaya Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya ye kalmey duniya aur aakhirat dono ke faaydey tere liye ekaththa kar dengey
{ Sahih Muslim : 6851}

Hadith: Ya Allah…..(All in one Dua)

‘Allahumma, inni a’udhu bika minal- ‘ajzi wal-kasali, wal-jubni wal-bukhli, wal-harami wa ‘adhabil-qabr. Allahumma, ati nafsi taqwaha, wa zakkiha anta khairu man zakkaha, anta waliyyuha wa mawlaha. Allahumma inni a’udhu bika min ‘ilmi la yanfa’u wa min qalbilla yakhsha’u, wa min nafsilla yashba’u, wa min da’watilla yustajabu laha.

Zaid bin arqam radi allaho anho ne kaha Aap Sallallaho alaihey wasallam farmatey they YA ALLAH MAIN PANAAH MANGTA HUN TERI , Aajazi aur susti aur namardi aur bakhili aur budhapey se aur kabar ke azab se, YA ALLAH mere nafs ko taqwa de aur paak kar de isko, tu iska behtar Paak karney wala hai tu iska aaqa aur maula hai , YA ALLAH main panaah mangta hun tere us ilm se jo faayda na de aur us dil se jo tere samney na khuley aur us ji (nafs)se jo aasuda na ho AUR US DUA SE JO QUBUL NA HO.
{ Sahih Muslim : 6906}

Hadith: Sotey waqt aur Subah uthtey waqt ki Dua ( EK Aasan Sunnat: Don’t forget)
اللَّهُمَّ بِاسْمِك أَحْيَا وَبِاسْمِك أَمُوت
Allahumma Bismika Ahyaa wa Bismika amuto.

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillahi lladhi ahyana ba’da ma amatana wa ilaihin nushur.

Al bara Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam jab soney ke liye jaatey to farmate Allahumma Bismika Ahyaa wa Bismika amuto (Eh Allah, tere naam ke saath jeeta hun aur tere naam ke saath marta hun) aur jab jaagtey to farmatey (Alhamdu lillahi lladhi ahyana ba’da ma amatana wa ilaihin nushur) Sukar hai us khuda ka jisney humein jilaya maar kar aur usi ki taraf mar ke uthna hai.
{ Sahih Muslim : 6887 }

Al Quran: Ya Rab, Hamarey aur hamrey Bhaeeyo ke jo humse pahley Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma
aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karney wala aur meharbaan hai

{Al Quran, Surah Al hashr (59), verse 10 }

Hazrat Jarer bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
jo shaksh bando par Raham na karega Allah taala us par raham nahi karega
{Sahih Muslim , Vol 6, #6030}

رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَلِإِخْوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالْإِيمَانِ وَلَا تَجْعَلْ فِي
قُلُوبِنَا غِلًّا لِّلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ
Rabbana ighfir lana wali-ikhwanina allatheena sabaqoona bial-eemani wala tajAAal fee quloobina ghillan lillatheena amanoo rabbana innaka raoofun raheemun.

Dua from Hadith : Eh Allah mainey Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahaon ko tere siwa koi maaf nahi karta Dua from Hadith : Eh Allah mainey Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahaon ko tere siwa koi maaf nahi karta

Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe aisee dua sikha dijiye jo main namaz mein Parha karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Parha karo

Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wala yaghfirudh-dhunuba illa anta, Faghfirli maghfiratan min indika war-hamni, innaka antalGhafur-ArRahim.”

(Eh Allah mainey Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahaon ko tere siwa koi maaf nahi karta meri maghfirt kar aisee maghfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshaq tu bada maghfirt karney wala aur Raham karney wala hai)
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6326 }

Dua :
اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْماً كَثِيراً، وَلَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wala yaghfirudh-dhunuba illa anta, Faghfirli maghfiratan min indika war-hamni, innaka antalGhafur-Rahim.”

Hadith: Duniya aur Aakhirat dono ke faaydey ke liye Ek Dua

Abu malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ke paas ek shaksh aaya aur bola Ya Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam main kya kahu jab apney Rab se maangu to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kah Allahumma Aghfirli wa Arhamni wa Ahdeni wa Aafini wa Arziqni ( Ya Allah meri maghfirat farma aur mujh par raham farma aur mujhe Hidayat ata farma, aur mujhe Aafiyat ata farma aur mujhe Rizq ata farma) aur Aap Sallallaho Alaihey wasallam en kalmon ko farmatey waqt ek ek ungli band kartey jaatey they , sab band kar li ek angutha (thumb) rah gaya Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya ye kalmey duniya aur aakhirat dono ke faaydey tere liye ekaththa kar dengey
{Sahih Muslim , 6851}

Mafhum-e-Hadith: Allah se maghfirat maangney ka sabse achcha tariqa

Shaddad bin Aus radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyadul Astigfar (Allah se maghfirat maangney ka sabse achcha tariqa ) ye hai : Eh Allah tu mera Rab hai, tere siva koi maabud nahi, tuney hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apney taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wadey par qayam hun, un buri harkaton ke Azab se jo mainey ki hain teri panaah mangta hun, mujh par naimatein teri hain iska iqrar karta hun , meri maghfirat kar de ki tere siwa aur koi bhi Gunaah maaf nahi karta……… Rasoollallah SallallahuAlaihiWasallam ne farmaya ki jisney is dua ke alfaaz par yaqeen rakhtey huye Dil se inko kah liya aur usi din shaam honey se pahley uska inteqal ho gaya to wo jannati hai, aur jisney is Dua ke alfaaz par yakeen rakhtey huye Raat mein inko par liya aur phir uska subah honey se pahley inteqal ho gaya to wo jannati hai. (‘Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Anta Khalaqtani wa ana abduka, wa ana ‘ala ahdika wa wa’dika mastata’tu, A’udhu bika min Sharri ma sana’tu, abu’u Laka bini’matika ‘alaiya, wa Abu Laka bidhanbi faghfirli innahu la yaghfiru adhdhunuba illa anta.”)
{Sahih Bukhari, Duaon ka bayan (6306)}

Dua:
(‘Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Anta Khalaqtani wa ana abduka, wa ana ‘ala ahdika wa wa’dika mastata’tu, A’udhu bika min Sharri ma sana’tu, abu’u Laka bini’matika ‘alaiya, wa Abu Laka bidhanbi faghfirli innahu la yaghfiru adhdhunuba illa anta.”)
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَمَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلا أَنْتَ

Mafhum-e-Hadith: Har tarah ki Nagahani museebat se Hifazat ki Dua.

Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasoollallah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisney (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi

بِسـمِ اللهِ الذي لا يَضُـرُّ مَعَ اسمِـهِ شَيءٌ في الأرْضِ وَلا في السّمـاءِ وَهـوَ السّمـيعُ العَلـيم
Bismillahillazi La yadurru Maasmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwas Samiul Alim.

usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisney ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani museebat nahi pahuchegi
Raavi (Hadith rivayat karney waley) kahtey hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij ho gaya tha to wo shaksh jisney unsey ye hadith rivayat ki thi wo unhey dekhney laga to Aban ne unsey farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam mainey na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij hua us roz main gussey mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya
(Dua tarjumah: Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunney wala aur janney wala hai)
{Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1647 ( Sahih)}

Hadith: Sakht Museebat aur pareshani ke waqt ki dua

Ibn Abbas Radi allaho anhuma se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam pareshaani (aur mushkil) ke waqt ye dua padtey

“لا إله إلا الله العظيم الحليم، لا إله إلا الله رب العرش العظيم، لا إله إلا الله رب السماوات ورب العرش الكريم”
La ilaha illallahul Azimul-Haleem,
La ilaha illallahul Rabbul Arsh-il-Azeem
La ilaha illallahu Rabbus-samawati wa Rabbul ard wa Rabbul Arsh-il-kareem

( koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo badi azmat wala bardbar hai koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo badey arsh ka malik hai koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo malik hai aasman ka aur malim hai zameen ka aur malik hai arsh ka jo ezzat wala hai).
{ Sahih Muslim, 6921}

Hadith: Baitul Khala ( Toilet) ke andar jatey waqt aur bahar aatey waqt ki Dua

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam
jab baitul khala (Toilet) mein dakhil hotey to ye Dua kahtey they

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ

“Allah-umma inni a’udhu bika minal khubuthi wal khaba’ith

Eh Allah , Main Napaak Jinno aur Napaak Jinniyon se teri Panah mangta hu
{Sahih Bukhari, 142}

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam
jab Baitul khala (toilet) se bahar aatey to ye kahtey

غُفْرَانَكَ ( Gufranaka)
Eh Allah mein teri bakhshish chahta hu
{Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 30}

Hadith : Adhan aur Aqamat ke darmiyan ki koi Dua Radd nahi ki jati

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Adhan aur Aqamat ke darmiyan ki koi Dua Radd nahi ki jati
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 519}

Mafhum-e-Hadith: DUA Ibaadat Hai

Hazrat Nu’man Ibn Bashir {Radi Allahu ‘Anhu} farmate hain ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne irshad farmaya Dua hi to ibaadat hai, phir apne “Surah-Tul-Momin” ki “Aayat-no–60″ padhi, Tumhare Parwardigar ne Farmaya Mujhse Dua Karo Main Tumhari Dua Qabool Karunga.
(Sahih) {Sunan-Ibn-Majah, Vol-no: 3, Book:(Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 709}

Hazrat Nu’man Ibn Bashir {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Dua hi to ibaadat hai, phir apne “Surah-Tul-Momin” ki “Aayat-no–60″ padhi, Tumhare Parwardigar ne Farmaya Mujhe Pukaro Main Tumhari Dua Qabool Karunga , Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-O-Khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.
(Hassan Sahih) {Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 1297}

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachney ki Dua

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya kartey they aur farmatey they ki tumharey buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye Allah ki panaah maanga kartey they.

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ

A’oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli ‘aynin lammatin

(Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
{Sahih Bukhari,Vol4,3371}

Hadith : Kya Main Allah ka shukarghuzar banda na banu.

Mughira bin Shu’ba Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam itni namaz Parhtey they ki unkey paaw (feet) mein waram aa jaya karta tha ya aapkey qadam phool jatey they jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se arz ki jati ki Aap to bakshey huye ho to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmatey ki Kya Main Allah ka shukarghuzar banda na banu.

{Sahih Bukhari, Vol 7, 6471}

Allahumma Ainni Ala Dhikrika wa shukrika wa husni ibadatika

(Tarjumah : Ya Allah , meri madad kar tera zikr karney mein , aur tera shukar ada karney mein aur teri achchi ibadat karney mein)

Hadith: YA ALLAH main panaah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de

اللَّهُمَّ إِنّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ دُعَاءٍ لاَ يُسْمَعُ وَمَنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ
Allahumma inni audhu bika min ilmin la yanfaa, wa min duain la yusmaa, wa min qalbin la yakhshaa, wa min nafsin la tashbaa

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ki ek dua ye bhi hai
YA ALLAH main panaah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de ,
aisee Dua se jo suni na jaye , aur aise dil se jismein tera khauff na ho aur
aisey nafs se jo mutmaeen (satisfied) na ho
{Sunan ibn Majah, Vol. 1, Hadith 250}

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
{Sahih Muslim, Vol 1, 1883}

Hadith: Eh Allah , Tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahley kar chuka hu aur jo baad mein mujhse honey waley hain ( Pyari Dua)
Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam raat ko Allah se ye dua kiya kartey they Eh Allah tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karney wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai. Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tere qaul sachcha hai aur tera vada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh Allah maine teri hi samnye sir jhuka diya aur tujh par imaan laya, Mainey teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, mainey teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahley kar chuka hu aur jo baad mein mujhse honey waley hain ,jo (gunah) mainey chup kar kiya aur jo khuley aam kiye ( wo maaf farma) Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
{Sahih Bukhari, Vol 8, 7385}

اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، قَوْلُكَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَأَسْرَرْتُ وَأَعْلَنْتُ، أَنْتَ إِلَهِي لاَ إِلَهَ لِي غَيْرُكَ

Al Quran : La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu minaz zalimeen ( Dua –e-Yunus Alaihi salam)

(Ya Allah) tere siwa koi ibadat ke layaq nahi , tu paak hai (aur) beshaq mein Qusurwar hu.
{Al Quran , Surah Al-Anbiya (21), verse 87}

Al Quran : Phir Machli ne unko ( Yunus Alaihi salam) ko nigal liya , aur wo malamat karney waley they phir agar wo ( Allah k) tasbeeh bayan nahi kartey, to us roz tak jab log dobara uthaye jayangey ( Yani Qayamat tak) uske pet mein hi rahtey
{Al Quran (37) As-Saaffat , 142-144}

Mafhum-e-Hadith: Karz aur Ranj-o-Gam Dur Karney ki Dua

Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Din Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Masjid mein tashreef laye wahan Aapney ek Ansari shaksh ko dekha jinka naam Abu Umama tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha Eh Abu Umama kya baat hai main tumko aisey waqt mein masjid mein dekh raha hu jabki namaz ka Waqt nahi hai Abu Umama ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe Gam (worry) aur karzo ne ghair rakha hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tujho aisey kalimat na sikhauu jinko agar tu kahey to Allah subhanahu teri tamam fikar dur farma dega aur tere Tamam Karz Ada ho jayega , unhoney kaha kyun nahi , bateeye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Subah aur Shaam ke waqt ye Dua parha kar

“ اللهم انى اعوذ بك من الهم والحزن ..واعوذ بك من العجز والكسل .. واعوذ من الجبن والبخل … واعوذ بك من غلبة الدين وقهر الرجال ”
( “Allahuma inni ‘auzubika minal hammi wal hazan, wa ‘auzubika minal ajzi wal kasal, wa ‘auzubika minal jubni wal bukhal, wa ‘auzubika minal ghalabatid diini wa qahri rijal.”)

Eh Allah, main Ranj (worry) aur gam (grief) se teri panaah maangta hu,
mein Aajazi aur Susti se teri panaah maangta hu,
mein Buzdili aur Bukhal se teri panaah maangta hu,
main Karz ke boje se aur Logon ke Qahar se teri panaah maangta hu

Abu Umama Radi Allahu Anhu ne kaha ki jab mainey is par Amal kiya to Allah subhanhu ne meri tamam fikr dur farma di aur tamam Karz Ada karwa diya
{Sunan Abu Dawud, Vol1, 1542}

Hadith: Eh Allah tu maaf karne wala, karam karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai

Eh Allah tu maaf karne wala, karam karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai so mere gunaah maaf farma de.
{Sunan Ibn majah, Vol3, 731}
—————————————————–
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka ‘afuwwun kareemun tuhibbul ‘afwa fa’fu ‘anni

Hadith: Hatheliyan upar karkey Dua maanga karo
Malik bin yasar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab tum Allah subhanahu se dua maango to hatheliyan upar karkey maanga karo
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1473}

Sa’id bin yazid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab Dua maanga kartey they to dono haatho ko uthatey they aur Dua ke baad haatho ko munh par pher lete they
{Sunan Abu Dawud, Vol1, 1479}

Hadith: jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (wo Allah) deta hai

Buraydah ibn al-Hasib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko ye dua kartey huye suna

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ
الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Allahumma inni asaluka Anni Ashhadu annaka antallahu la ilaha illa ant, Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad, wa lam yakullahu kufuwan Ahad

to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tuney Allah ko aisey naam se pukara hai ki jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (wo Allah) deta hai aur jab iskey zariye dua ki jati hai to Qubul ki jati hai
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1480 (Sahih)}

Hadith: uske gunaah bakhsh diye jaatey hain chahey samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo har namaz ke baad 33 baar SubhanALLAH, 33 baar Alhamdulillah aur 33 baar ALLAHU Akbar kahey to ye 99 kalmey hongey aur usko
Ye kahkar 100 kar le
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu lahu Almulk wa lahu Al-hamd,
wa huwa Ala kulli shay in qadir
to uske gunaah bakhsh diye jaatey hain chahey samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho
{Sahih Muslim, Vol 2, 1352}
Dua from hadith: YA ALLAH main panaah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ki ek dua ye bhi hai YA ALLAH main panaah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de , aisee Dua se jo suni na jaye , aur aise dil se jismein tera khauff na ho aur aisey nafs se jo mutmaeen (satisfied) na ho
{Sunan ibn Majah, Vol. 1, Hadith 250}

اللَّهُمَّ إِنّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ دُعَاءٍ لاَ يُسْمَعُ وَمَنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ
Allahumma inni audhu bika min ilmin la yanfaa, wa min duain la yusmaa, wa min qalbin la yakhshaa, wa min nafsin la tashbaa

Al Quran : Allah ne tumharey liye yahi deen pasand farmaya hai , isliye marna hai to Musalman hi marna.

Al Quran : Aur Ibrahim (alaihi Salam) ne apney beto ko isi baat ki waseeyat ki aur Yaqub (alaihi Salam) ne bhi ( yahi kaha) ki beta Allah ne tumharey liye yahi deen pasand farmaya hai , isliye marna hai to Musalman hi marna.
{Al Quran , Surah Al-Baqara (2), Verse 132}

Ya Allah , tu mujhe Islam par (As a Muslim )Maut de aur mujhe Neik logon mein shamil kar.
{Al Quran, Surah Yusuf (12), Verse 101}

Oh Allah hum par Sabr daal aur humein Musalman karkey maut de.
{Al Quran Surah Al-Aaraf (7) verse 126}

Zahreeley jaanwaro se Hifazat ki dua:

Hadith: Ek shaksh Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya aur bola Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe badi takleef pahunchi us bichchoo (scorpion) se jisney raat ko mujhe kata.Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tu shaam ko ye kah leta

A’oodhu bi kalimaati-Allaahit-tammaati min sharri ma khalaq

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقََ
to tujhe takleef nahi pahunchati.
{Sahih Muslim , Vol 6, 6880}

Hadith: Eh Allah , Tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahley kar chuka hu aur jo baad mein mujhse honey waley hain.
Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam raat ko Allah se ye dua kiya kartey they Eh Allah tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karney wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai. Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tere qaul sachcha hai aur tera vada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh Allah maine teri hi samnye sir jhuka diya aur tujh par imaan laya, Mainey teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, mainey teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahley kar chuka hu aur jo baad mein mujhse honey waley hain ,jo (gunah) mainey chup kar kiya aur jo khuley aam kiye ( wo maaf farma) Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
{Sahih Bukhari, Vol 8, 7385}

  • أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ
    Hazrat Zayd Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Astaghfirullah al-ladhi la ilaha illa Huwal-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih kahey to uske Gunaah baksh diye jayangey chahey usney Kuffar ke muqabley se bhagney ka gunaahhi kyun na kiya ho
    {Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1504 -Sahih}

Eh hamare RAB humein apna farmabardar bana de
Al Quran : Eh hamare RAB humein apna farmabardar bana de aur hamari aulad mein se bhi ek jamaat ko apna farmabardar bana aur humein hamare ibadat (hajj, umrah) ke tareeqe bata de aur hamari tauba qubul farma beshak tu bada tauba qubul karne wala bahut raham karne wala hai
{AL Quran , Surah Al-Baqarah (2) , 128}

Mafhum-e-Hadith: Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat

Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhey

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah

to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai.

Aur dusra shaitan us sey kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
{Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1654-Sahih}
Mafhum-e-Hadith: Usey Qayamat ke din meri shafaat milegi jo Adhan sunkar ye kahey…
Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo shaksh Adhan sunkar ye kahey

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ، آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ

Allahumma Rabba hadhihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, wabaathhu maqaman mahmudan-il-ladhi waadtah. usey Qayamat ke din meri shafaat milegi

(Tarjumh: Eh mere Allah jo is sari pukar ka RAB hai, aur Qayam rahney wali namaz ka bhi RAB hai , Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela ata farma, aur Maqam e Mahmood par unka qayam farma, jiska tuney unsey wada kiya hai)
{Sahih Bukhari, Vol 1, 614}

Mafhum-e-Hadith: museebat ( ya pareshani) ke waqt padhne ki dua

اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
—————————————
Hazrat Asma bin Umays Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhse farmaya ki kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum museebat ( ya pareshani) ke waqt padha karo
(Wo kalimat ye hain) , Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih}

Hadith: Bandey ki Dua hamesha Qubul hoti hai

Abu Hurairah radi allaho anha se rivayat hai ki Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam ne farmaya hamesha bandey ki Dua qubul hoti hai jab tak wo gunaah ya naata(rishta) todney ki dua na karey aur jaldi na karey logon ne kaha Ya Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam jaldi ka kya matlab hai Aap sallallaho alaihey wasallam ne farmaya ki yu kahey ki mainey dua ki main nahi samajhta ki wo Qubul hogi phir na ummeed ho jaye aur dua chor de.
{Sahih Muslim , 6936}

Abu hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya tum mein se har ek ki Dua Qubul hoti hai jab tak ki wo jaldi na karey aur ye na kahey ki mainey Dua ki aur meri Dua Qubul na hauyee.
{Sahih Muslim , 6934}

Hadith : Nabee Sallallaho alaihey wasallam ki Ek Dua

Abdullah bin masood Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam farmatey they Ya Allah main tujhse mangta hu Hidayat aur parhejgari aur haraam se pakdamani aur Dil ki tawangari. ( freeedom from want).
{Sahih Muslim , 6904}

Hadith : Manzil mein utarney par ye dua kahey koi cheez nuksaan nahi pahucha sakegi (In sha Allah)

Khaula bint Hakim Sulamiyya Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya jo shaksh kisi manzil par utrey phir kahey

A’oodhu bi kalimaat Allaah il-tammaati min sharri ma khalaqa
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

to usko koi cheez nuksaan na pahuncha sakegi yaha tak ki wo kooch karey (chala jaye) us jagah se
{Sahih Muslim , 6878}

Abu hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki ek shaksh Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ke paas aaya aur bola Ya Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam mujhe badi takleef pahunchi us bichchoo (scorpion) se jisney raat ko mujhe kata Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya agar tu shaam ko ye kah leta

A’oodhu bi kalimaat Allaah il-tammaati min sharri ma khalaqa

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
to tujhe takleef nahi pahunchati.
{Sahih Muslim , 6880}

Hadith: Azan aur Iqamat ke darmiyan ki koi Dua Radd nahi ki jati

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Azan (Adhan) aur Iqamat ke darmiyan ki koi Dua Radd nahi ki jati
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 519 –Sahih}

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Bandey ki Dua Qubul hoti hai jab tak ki wo jaldi na karey ki kahney Lage maine dua ki thi aur Qubul nahi huyee (yani aisa nahi kahna chahiye)
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6340}

Abu Hurairah radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya hamesha bande ki Dua qubul hoti hai jab tak wo gunaah ya naata (rishta) todne ki dua na kare aur jaldi na kare logon ne kaha Ya Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam jaldi ka kya matlab hai Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki yu kahe ki maine dua ki main nahi samajhta ki wo Qubul hogi phir na ummeed ho jaye aur dua karna chodh de.
{Sahih Muslim , Vol 6, 6936}

Abu hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya tum mein se har ek ki Dua Qubul hoti hai jab tak ki wo jaldi na karey aur ye na kahey ki mainey Dua ki aur meri Dua Qubul na hauyee.
{Sahih Muslim , Vol 6, 6934}

Mafhum: Zalim Hukmaran se bachne ki dua from Hadith
——————————
اللَّهُمَّ لاَ تُسَلِّطْ عَلَيْنَا مَنْ لاَ يَرْحَمُنَا
Allahumma La Tusallit Alaina Man La Yarhamuna

Ya ALLAH hum par aise shakhs ko musalllat na kar jo hum par raham na kare
{Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1426 –Sahih}
Mafhum –e-hadith: Witr Namaz ke Qunut mein padhne ki dua
————————
اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ
وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ
وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ
وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ

وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ
إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ

وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ
وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ
تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ

Allahumma ahdini fiman hadait,
wa Aafini fiman Aafait,
wa tawallani fiman tawallait,
wa barikli fima Aatait,

wa qina sharra ma qadait,
innaka taqdi wa la yuqda alaik.

wa Innahu la yadhillu man walait wa la ya’izzu man aadait ,
Tabarakta Rabbana wa taalait
Hasan bin Ali Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne humko kuch kalimat sikhaye jinhe hum Witr ke qunut mein padhte hain
(Dua tarjuma)
Eh ALLAH mujhe un logo ke saath hidayat de jinhe tune hidayat bakhshi
Aur meri un logo ke saath nigehbani farma jinko tune nigehbani ata ki
Aur mujhe un logo ke saath apni dosti ata farma jinko tune apni dosti ata ki
Aur jo kuch tune ata kiya hai usmein barkat ata farma

Aur us burayee se mujhe mehfooz rakh jiska tune faisla kiya hai
kyunki tu hi faisla karne wala hai aur tere faisle ke upar koi faisla nahi kar sakta
Aur wo kabhi zaleel nahi ho sakta jiske saath tu dosti kar le
Aur wo kabhi beezzat nahi ho sakta jiski tu himayat kar le
Eh hamare RAB , tu bada barkat wala hai aur azeem hai
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1412-Sahih
( Also in : Sunan Nasaii Vol. 1, 1748-Sahih
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1178-Sahih)}

Shadi ki Mubarak baad dene ki dua

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam jab kisi ko shaadi ki Mubarak baad dete to ye dua kahte

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
BarakAllahu laka wa barak alaik wa jama’aa baynakuma fi khairin
Allah tumko barkat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayee ki taufiq de
{Sunan Abu Dawud, Vol 2, 363-Sahih}

Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai uskey maal ki wajah se , uskey khandani sharaf ki wajah se, aur uski khubsurti ki wajah se aur uskey Deen ki wajah se , to tu Deendar (religious) aurat se nikaah karkey kaamyabi haasil kar aur aisa na karega to tere haathon ko mitti lagegi (yani baad mein tujhe nadamat hogi)
{Sahih Bukhari, Vol 6, 5090}
Hadith: uske Gunaah baksh diye jayangey chahe usney Kuffar ke muqable se bhagne ka gunaah hi kyun na kiya ho
——————————-
Hazrat Zayd Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullah Al-Ladhi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih

kahe to uske Gunaah baksh diye jayangey chahe usney Kuffar ke muqable se bhagne ka gunaah hi kyun na kiya ho

( Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu )
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1504 -Sahih}

Hadith: Allah taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning ) ko napasand karta hai
—————————-
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning ) ko napasand karta hai isliye tum mein se koi shaksh cheenkey aur Alhamdulillah (Tamam Taarif Allah ke liye hai) kahey to har musalman par haq hai ki jo usey suney uska jawab Yarhamukallah se de, jamaayee (yawning) shaitan ki taraf se hoti hai isliye jahan tak ho sakey usey rokey kyonki jab wo munh khol kar Haaaaa kahta hai to shaitan us par hansta hai.
{Sahih Bukhari, Vol7, 6223}

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se koi cheenkey (sneezing ) to ‘Al-Hamdulillah’ kahey aur uska bhai ya uska saathi ‘Yar-hamuka-llah’ (Allah tum par raham karey) kahey, jab saathi Yarhamukallah kahey to uskey jawab mein cheenkney wala kahey Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum (yani Alllah tumhey seedhey raastey par rakhey aur tumharey haalat durast karey)
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6224}

Abu saeed khudhri radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya
jab koi tum mein se jamaee (yawning) le to apna haath apney munh par rakh de kyunki Shaitan Andar dakhil ho jata hai
{Sahih Muslim, 7491}

Al Quran: Ya RAB Momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de
Al Quran: Ya Rab, Hamarey aur hamrey Bhaeeyo ke jo humse pahley Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma
aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karney wala aur meharbaan hai
{Al Quran, Surah Al hashr , verse 10}

Eh Mere Rab mujhe aur mere bhai ko maaf farma aur humein apni rahmat mein dakhil kar aur tu sabse ziyada raham karney wala hai
{Al Quran:Surah Al Araf,verse 151}

Hadith: Dua Ibadat hai
—————————-
Al Quran : Eh Mere Rab Mujhe aur Mere maa baap ko bakhsh de aur usko jo mere ghar mein Imaan waley hokar dakhil ho jaye, aur tamam Imaan waley Mardo aur Imaan wali aurton ko (maaf farma) aur Zaalim logo ke liye aur Tabahi bada
{Al Quran, Surah Nooh-71, Verse 28}

Nu’man ibn Bashir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Dua Ibadat hai aur tumharey Rab ka farman hai mujhse dua karo mein Qubul karunga
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1466}
ربَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسْرَافَنَا فِي أَمْرِنَا وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَِ

Rabbana-ghfir lana dhunuubana wa israfana fi amrina wa thabbit aqdamana wansurna ‘alal qawmil kafireen
Al Quran : Eh hamarey RAB Gunaah aur zyadatiyan jo hum apney kaamon mein kartey rahey hain (usey) maaf farma de aur humko sabit qadam rakh aur kaafiron par fatah ata farma

{Al Quran : Surah Aal-e-Imran(3),Verse 147}
رَبِّ اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِمَنْ دَخَلَ بَيْتِيَ مُؤْمِنًا وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَلَا تَزِدِ الظَّالِمِينَ إِلَّا تَبَارًا

Rabbi ighfir lee waliwalidayya waliman dakhala baytiya muminan walilmumineena waalmuminati wala tazidi alththalimeena illa tabaran

Eh Mere Rab Mujhe aur Mere maa baap ko bakhsh de aur usko jo mere ghar mein Imaan waley hokar dakhil ho jaye, aur tamam Imaan waley Mardo aur Imaan wali aurton ko (maaf farma) aur Zaalim logo ke liye aur Tabahi bada

{Al Quran, Surah Nooh (71), Verse 28}

Al Quran : Apney RAB se maafi maango ki wo bada maaf karney wala hai
Wo Aasman se tum par (musladhar) baarish barsayega
Aur maal aur beton se tumhari madad farmayega aur tumhey baag (garden) ata karega aur unmein tumhare liye nahrein baha dega
Tumko kya hua hai ki Allah ki azmat ka khayal nahi rakhtey
Halanki usney tumhey kayee tarah se banaya hai
Kya tumney nahi dekha ki Allah ne saat aasman kaisey ek ke upar ek banaye hain
Aur chaand ko chamkata hua Noor bana diya aur Suraj ko chirag bana diya
{Al Quran , Surah Al-Nooh (71), Verse 10-16}

Abu malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ke paas ek shaksh aaya aur bola Ya Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam main kya kahu jab apney Rab se maangu to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kah

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي، وَارْحَمْنِي، وَاهْدِنِي، وَعَافِنِي، وَارْزُقْنِي

Allahumma Aghfirli wa Arhamni wa Ahdeni wa Aafini wa Arziqni
(Ya Allah meri maghfirat farma aur mujh par raham farma aur mujhe Hidayat ata farma, aur mujhe Aafiyat ata farma aur mujhe Rizq ata farma) aur Aap Sallallaho Alaihey wasallam en kalmon ko farmatey waqt ek ek ungli band kartey jaatey they , sab band kar li ek angutha (thumb) rah gaya Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya ye kalmey duniya aur aakhirat dono ke faaydey tere liye ekaththa kar dengey
{Sahih Muslim , 6851}
Mafhum-e-Hadith: museebat ( ya pareshani) ke waqt padhne ki dua
———————-
اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
Allahu Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa

Hazrat Asma bin Umays Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhse farmaya ki kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum museebat ( ya pareshani) ke waqt padha karo
(Wo kalimat ye hain) , Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih}

Hadith: har achchi baat sikhana sadqa hai aur har buri baat se rokna sadqa hai
Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki kuch ( gareeb) Sahabi Radi Allahu Anhuma Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaye aur arz ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam maal wale sara sawab kama kar le gaye isliye ki wo namaz padhte hain jaisa ki hum namaz padhte hain aur roza rakhte hain jaisa ki hum roza rakhte hain aur apne zyada maalo se sadqa bhi dete hain to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhare liye bhi to Allah subhanahu ne sadqe ka saman kar diya hai
har tasbeeh (SubhanAllah kahna) sadqa hai
aur har takbir (Allahu Akbar kahna) sadqa hai
aur har tahmeed (Alhamdulillah kahna) sadqa hai
aur har tahleel (La ilaha illallah kahna) sadqa hai
aur har achchi baat sikhana sadqa hai
aur har buri baat se rokna sadqa hai
aur har shakhs ke badan ke tukde mein sadqa hai , (yani apni biwi ya khawind se sohbat karna bhi sadqa hai) logo ne arz ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum mein se koi shakhs apne badan se apni shahwat nikalta hai (yani apni biwi se sohbat karta hai) to kya usmein bhi sawab hai , to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kyu nahi (yani haan), agar wo haram mein sarf karta to us se wabal (gunah) hota ki nahi ? isee tarah jab halal mein sarf karta hai to sawab hota hai
{Sahih Muslim, Vol 3, 2329}

Hadith: jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (wo Allah) deta hai
Buraydah ibn al-Hasib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko ye dua kartey huye suna

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ
الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Allahumma inni asaluka Anni Ashhadu annaka antallahu la ilaha illa ant,
Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad, wa lam yakullahu kufuwan Ahad

to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tuney Allah ko aisey naam se pukara hai ki jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (wo Allah) deta hai aur jab iskey zariye dua ki jati hai to Qubul ki jati hai
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1480 (Sahih)}

Al Quran : Apney RAB se maafi maango ki wo bada maaf karney wala hai
Wo Aasman se tum par (musladhar) baarish barsayega
Aur maal aur beton se tumhari madad farmayega aur tumhey baag ( garden) ata karega aur unmein tumhare liye nahrein baha dega
Tumko kya hua hai ki Allah ki azmat ka khayal nahi rakhtey
Halanki usney tumhey kayee tarah se banaya hai
Kya tumney nahi dekha ki Allah ne saat aasman kaisey ek ke upar ek banaye hain
Aur chaand ko chamkata hua Noor bana diya aur Suraj ko chirag bana diya
{Al Quran , Surah Al-Nooh (71), Verse 10-16}

Hadith: Abu darda Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo koi dua karey apney bhai ke liye uski peeth ke peechey to muwakkil farishta Aameen kahta hai aur kahta hai aisee hi Dua tujhko bhi milegi.
{Sahih Muslim , Vol 6, 6928}

Dua : Ya Allah Jitney bhi Musalman is duniya se ja chukey hain aur jaaney waley hain un sab ki maghfirat farma de
Aur unki Qabro ko jannat ka baagh bana de
Aameen

Al Quran : Humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
———————-
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ
كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ
وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
—————————
Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte
aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya ,
Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
{Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285}

Al Quran : ALLAH kisi shakhs ko uski taqat se zyada taklef nahi deta achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga .
Eh hamare RAB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma ,
Eh hamare RAB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala ,
Eh hamare RAB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi,
aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar.
Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
{Al Quran, Surah Al-Baqara (2) Verse 286}

Mafhum-e-Hadith: Tez hawa ya aandhi ke waqt padhne ki dua
Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Jab kabhi tez hawa ya aandhi chalti to Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ye dua padha karte they

اللَّهُمَّ إِني أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا ، وَخَيْرِ مَا فِيهَا ، وخَيْر ما أُرسِلَتْ بِهِ ، وَأَعُوذُ بك مِنْ شَرِّهِا ، وَشَرِّ ما فِيها ، وَشَرِّ ما أُرسِلَت بِهِ

Allahumma inni asaluka khairaha, wa khaira ma fiha, wa khaira ma ursilat bihi.
Wa Aaudhu bika min sharriha, wa sharri ma fiha, wa sharri ma ursilat bihi

Ya Allah main tujhse iski behatari maangta hu aur jo uske andar hai uski behatari aur jo ismein bheja gaya hai uski behtari (mangta hu) aur teri panah mein aata hu iski burayee (shar) se aur jo iske andar hai uski burayee se aur jo kuch ismein bheja gaya hai uski burayee se
( teri panah mein aata hun)
{Sahih Muslim, Vol 2, 2085}

Salim bin Abdullah bin Umar Radhi allahu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam jab jab badal ya bijli ki garaj ( aawaz) sunte to ye dua padhte
اللَّهُمَّ لاَ تَقْتُلْنَا بِغَضَبِكَ وَلاَ تُهْلِكْنَا بِعَذَابِكَ وَعَافِنَا قَبْلَ ذَلِكَ

Allahumma la taqtulna bi-ghadhabik wa la tuhlikna bi-adhaabik wa aafina qabla dhaalik.
Ya Allah humein apne azab se qatl na kar aur apne azab se halaq na kar aur us se pahle humein maaf farma de
{Jamia Tirmidhi , vol 2 , 1375}

Mafhum-e-Hadith: Baitul khala (Hamam) mein jate waqt ki dua
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab baitul khla (hamam) mein jate to ye Dua Padhte
اللهم إني أعـوذ بك من الخبث والخبائث
Allahumma Inni Aaudhu-bika minAlkhubthi Wa Alkhaba’ith.
(Eh ALLAH mein Khabis Jinno aur Jinniyon se teri panaaah mangta hun)
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6322}

Mafhum: Jab bulandi pe chadho to Allahu Akbar kaho aur jab Niche utaro to……..
Jabir Radi Allahu anhu ne bayan kiya ki jab ham Bulandi (Up) par chadhte to Allahu Akbar kahte aur jab Nichey (down) utar te to Subhan Allah kahte the.
{Sahih Bukhari: Vol.4, 2994}

Al Quran : Beshak Aasman aur zameen ke banane aur raat aur din ke aane jane mein aqalmando ke liye nishaniyan hain.

Wo jo ALLAH subhanahu ko khade aur baithe aur karwat lete yaad karte hain aur aasman aur zameen ki paidayeesh mein gaur karte hain aur (kahte hain ki) Eh hamare RAB tune ye sab befayda nahi banaya tu sab aibon se paak hai humein daozakh ke azab se bacha.

Eh hamare RAB tune jisko dozakh mein dakhil kar diya usko tune ruswa kiya aur zalimo ka koi madadgar nahi hoga.

Eh hamare RAB , Humne ek pukarne wale se suna jo imaan ke liye pukar raha tha ki apne RAB par imaan lao to hum imaan le aaye.

Eh hamare RAB ab hamare gunah bakhs de aur humse hamari buraeeyo ko dur kar de aur humein neik logo ke saath maut ata farma.

Eh hamare RAB hume wo ata farma jiska tune apne Rasoolo ke zariye se waada kiya hai aur humein Qayamat ke din ruswa na karna beshak tu wada khilafi nahi kara
{Al Quran : Surah Aal-e-Imran (3) verse 190-194}

Mafhum-e-Hadith: Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne 5 baaton se panah mangne ka hukm farmaya

Saad bin abi waqas Radhi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne 5 baaton se panah mangne ka hukm farmate the ki Eh ALLAH main panaah mangta hun Bukhl se, aur panaah mangta hu Buzdili se, aur panaah mangta hu us se ki badtareen budhapa mujh par aa jaye,aur pannah mangta hu duniya ke fitne se yani dajjal ke fitne se, aur pannah mangta hu Kabr ke azab se.
{Sahih Bukhari, Vol7, 6365}
———————————————————
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبُخْلِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ،
وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ،
وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا يَعْنِي فِتْنَةَ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ
Alla-humma inni a’udhu bika minal-jubni wal- bukhl, wa a’udhu bika min an uradda ila ardhalil-‘umur, wa a’udhu bika min fitnatid-dunya ( or wa a’udhu bika min fitnatid dajjal) , wa a’udhu bika min fitnatil-qabr

Hadith: Aalim ki fazeelat Aabid (ibadat guzar) par aisee hai jis tarah meri tum mein se adna (aamal ke lihaz se sabse kam) aadmi par hai

Al Quran : Tum mein se ek jamaat aisee honi chahiye jo logo ko neki ki taraf bulaye aur achche kaam karne ka hukm de aur burey kaamo se mana kare, Ye log nijat pane wale hain
{Al Quran , Surah Aal-E-Imran (3) Verse 104}

Hadith: Abu Umamah Al-Bahili Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke samne do shakhs ka zikr hua jismein se ek aabid (ibadat guzar) tha aur dusra aalim , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aalim ki fazeelat Aabid par aisee hai jis tarah meri tum mein se adna(aamal ke lihaz se sabse kam) aadmi par hai , Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan ALLAH subhanahu aur uske farishte aur tamam ahl-e-zameen aur aasman aur yahan tak ki cheenti apni surakh mein aur machliyan bhi us shakhs ke liye khair ki dua karte aur rahmat bhejte hain hain jo logo ko bhlayee ki baatein sikhata hai
{Jamia Tirmidhi , Vol 2, 581-Hasan}

Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah usko khush-haal rakhey jo hamari hadith ko suney aur aagey pahuchaye
{Sunan ibn Majah, Vol 1, 232-Sahih}

Mafhum-e-Hadith: Qabristan mein dakhil hokar ye dua padhe
Hazrat Buraida Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke sath mein the ki jab who Qabristan ki taraf nikle to ye farmaya

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لاَحِقُونَ نَسْأَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ .
As-salamu ‘alaykum ahlad-diyar minal-mu’minina wal- muslimin, wa inna insha’ Allah bikum lahiqun, nas’alul-laha lana wa lakumul-‘afiyah
“Salaam ho tum par Eh ghar walo, Ahle islam aur Ahle iman mein se aur ham bhi In sha ALLAH tum se milne wale hai Ham ALLAH se apne liye aur tumhare liye Aafiyat mangte hai.
{Sunan Ibn Majah, Vol.1, 1547}

Hadith: Jab murge ki aawaz suno to ALLAH se uske Fazal ka sawal kiya karo
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab murgey ki aawaz suno to ALLAH se uskey Fazal ka sawal kiya karo kyunki usney farishte ko dekha hai aur jab gadhe (donkey) ki aawaz suno to shaitan se, ALLAH ki panaah mango kyunki usne shaitan dekha hai.
{Sahih Bukhari, Vol 4,3303}

Nek Aur Saleh Aulad (Child) Keliye Duaa:

jab bhi mouqa mile duaa kare Allah se Ae Allah mujhe Nek Saleh Aulad Ata Farma usey siratula musatqeem per chala, use shaitani rasto se bacha.

 Jaise Ibrahim A.S ne Allah se duaa ki

Jise allah ne quran me bayan kiya hai

“Rabbi habli minash shalihin”
Tarjuma:
Ae Allah mujhe nek aulaad ata farma
{Surah saffat Ayaat 100}

Zakariyah A.S ne bhi allah se nek aulad ke liye dua ki jo quran me hai

“Rabbi habli milladunka zurriyatan tayyibatan innaka sameeud dua.”
Tarjuma:
aye mere parvardigaar! mujhe apne paas se paakiza aulaad ataa farma, beshak tu dua ka sunne waala hai
{surah imran ayaat 38}.

Aur Hum bistari se pehle dua kare: 

Ibn `Abbas R.A se riwayat hai RasoolAllah Sallelaho Alayhi wa sallam ne farmaya Hum Bistari se pahle ye duaa kare.

“Bismillahi   Allahumma Jannib nash shaytaana wa janni bish shaytaana ma razakh tana
Tarjuma:
Allah ke naam ke saath, aye Allah hamein shaytaan se mehfooz rakh aur us aulaad ko bhi shyataan se mehfooz rakh jot u hamein ata kare. To yaqinan us jima mein jo aulaad paida hogi to shaytaan ose kabi bhi nuqsaan nahi pahoncha sakega.
{Sahee Bukhari Hadith No. 141}

Iss naa cheeez SUBHANI NADEEM ko bhi Duwaon me yaad rakhein.
Jazak Allah Khair.

Prepared By: Subhani Nadeem.

1 Response to Dua – Azkar / Zikr (Invocations)

  1. Aasif says:

    Assalamu alaikum bhai kya aapk ise pdf book jaisa bana sakte he kya

    Like

Leave a comment