AZMAISH,MUSIBAT, PARESHANI (AUR ALLAH KI MADDAT)

Posted By: Subhani Nadeem

*AZMAISH , MUSIBAT, PARESHANI😒Imaan walo ke liye Allah ki maddath*.
⭐ Haa! Allah ki Maddath Kareeb hi hai!.

*!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!*

Aaj Hum Choti Choti Musibato par Allah se mayus ho jatey hai, Allah ki rehmat se Na’ummid ho jatey hai jabki ye Imanwalo ko Zeba nahi deta,..

kyunki humse pahle Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam), Aapke Sahaba, aur Jo Nek aur Saleh log they unpar Is se Jyada Mushkile aur pareshani Aayi,.

lekin iske bawajud wo log Haq par Majbuti ke sath jamey rahe aur Allah ki rehmat se mayus aur Na’ummid na huye ,.
Aur Allah ki Raah me Jaddo Jehad karte rahe jabtak ke Allah Ki Madad untak pohoch na gayi ,..

Isi Ke Zeeman Me Quran-e-Kareem Ki Rehnumayi Hum Sab ko Sakht se sakth haal me bhi Housla Deti Hai:

📖 *Al-Quraan:*
“Kya tum ye Gumaan kiye baithey ho ke “aise hi Jannat” me chale jaoge ?
Halanke ab tak tum par wo Halaat nahi Aaye Jo tumse agle logon par Aaye they,
Unhe Bimaariyan aur Musibaten Pahunchi aur wo hila diye gaye,
yahan tak ke Rasool aur uske saath ke Iman waley kahne lage ke Allah ki madad kab Ayegi ?
(fir unhe Tasalli di gayi ke) Ha! Allah ki Madad kareeb hi hai”
(Sureh Baqra 2: Ayat 214)

♄ Subhan’Allah !!!

📖 *Al-Quraan:*
“Kya logon ne ye gumaan kar rakha hai ke unke
sirf is Daawe par ke hum Imaan laye hai, hum unhe bagair Aazmaye huwe hi chorr denge?
Unse Aglon ko bhi Humne khoob Jaancha, Yaqinan Allah unhe bhi jaan lega Jo sach kahte hai
aur unhe bhi Maalum kar Lega Jo Jhoote hai”
(Sureh Al-Ankabut 29: 1-3)

*Lihaja Mere Azeezo ! hume Har Aazmasih me Sabr se kaam lena hai ,.
har kism ke Gair Sharayi Rusumat se parhez kar khalis Rab Ki Nazil Karda hidayat
aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Pakiza Talimat par jam jana hai..
fir Jaisa ke Allah Ka Wada Kal bhi Pura hua in’sha’Allah ul Azeez !! Waisa Aaj bhi Pura hona lazim hai ,.
basharte ke hum Kamil Iman Wale yaani “Momin” ban Jaye ,,.

Mazeed, Allah s.w.t 📖quran me fatmatey hai.

“yaqinan tera rub jis ke liye chaahe rozi khushaada kar deta hai aur jis ke liye chaahe tang, yaqinan wo apne bandho se ba-qabar aur qoob dekhne wala hai.{Surah Israel Ayaat-30}

Allah ta’ala apne bandho mein se jise chaahe faraagh rozi deta hai aur jise chaahe tang, yaqinan Allah ta’ala har cheez ka jaanne wala hai.{Surah Ankaboot Ayaat-62}

“aur hum kisi na kisi tarah tumhaari azmaayesh zaroor karenge, dushman ke darr se, bhook pyaas se, maal wa jaan aur phalo ki kami se aur un sabr karne waalo ko khush qabri de di jiye
.
“jinhe jab kabhi koyi musibath atai hai to keh diya karte hai ke hum to khud Allah ta’ala ki milkiyath hai aur hum osi ki taraf lautne wale hai


“un par un ke rab ki nawaazishe aur rehmate hai aur yahi log hidaayath yaafta hai
{Surah Baqrah Ayaat-155 to 157}

Inn Ayato se wajeh tour par sabit hota hai ke Ye Allah ki Azmaish hai jise naukri ya aulad nahee hai, ya kuch aur pareshani hai. Hame sabar aur ibadat karke Allah se mangte rahna chahiye. Aur duwa se pahele Allah ki shaan , uski badhayee karni chahiye aur use uskey namo ke sath pukarna chahiye jaise. Ar-Rahman , Ar-Raheem, Ar-Razzāq , Al-Wahhāb Al-Khabeer etc,.

HADITH:
MOMIN HAMESHA AZMAISH ME MUBTILA RAHETA HAI:

Syedna abu huraira (r.a) se riwayat hairasool allah sallallahu alaiwasallam ne farmaya MOMIN apni jaan awlad aur maal ke mamle me hamesha azmaish me hota hai yaha tak ke jab allah ta.ala se uski mulakat hoti hai to uske gunah maaf ho chuke hote hai
Daleel Tirmizi: hadees no.2399.

yaad rahe Allah azmata ussi ko hai jisse wo zyada mohabbat karta hai aur iske zariye wo apne bando ke gunah bhi maaf karta hai bande ko sabr karta dekh kar.

*Rizaqq ke liye Du‘a (supplication):
Umm Salamah RaziAllaho Tala Anha se riwayat hai ke nabi s.a.w aksar fazar ki namaz ke baad yeh dua kiya karte “Allahumma inni as aluka rizqan tayyiban wa ‘ilman naafi‘an wa ‘amalan mutaqabbalan (O Allah, I ask You for a good (halal) provision, beneficial knowledge and accepted deeds).” [Musnad Ahmad, & Ibn majah]

Azmaish par yeh chand line:

*Tez dhoop ki tapish tum ko sataegi.*

*Piyaas ki shidath tum ko azmaegi.*

*Momin tum her haal me sabar rakhna.*

*Ye azmaish tumhe jannat me lejaegi.*

♄ In’sha’Allh-Ul-Azeez !!!
# Allah Taala Hume Kehene Sun’ne Se Jyad Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hume Kitabo Sunnt ka Paband Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye

# Khatma Humara Imaan Par Ho 

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Iss Post ko dusro takk share kare aur sawab e jariya me hissa ley, daleel (surah asr).

Prepared By: Subhani Nadeem.

About Subhani Nadeem

Main Akela hi chala tha janibe manzil magar Log sath aate gaye aur Karava banta gaya....!
This entry was posted in Uncategorized. Bookmark the permalink.

1 Response to AZMAISH,MUSIBAT, PARESHANI (AUR ALLAH KI MADDAT)

  1. Mrs,Maria says:

    Respected brother
    salaam Alykum
    Amazing dua for knowledge . yeah beautiful names her tasbih per perh sakte hai.
    Ar-Rahman , Ar-Raheem, Ar-Razzāq , Al-Wahhāb Al-Khabeer.
    we remember you in our prayers.
    Regards

    Like

Leave a comment