EID KI SUNNATE AUR MASAIL

🌺🌙Eid Ki Sunntein aur Masail🌙🌺
Posted By: Subhani Nadeem

*Shariate islamia me 2 hi eide hai* ,ek eid ul fitr aur eidul azha, inke alawa shariate islamia me kisi teesri eid aur mazhabi tehwar manane ki ijazat nahi hai aur ye amal Allah aur uske rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ke khilaf hai. [dekhiye sunan abu dawood hadees no:1134} Waisey Juma ko bhi Eid ka din kahte hai lekin wo Lugghat ke mano me hai,.

Ghusul: Ali R.A se riwayat hai : Juma, Arfa, Eidul Zuha (Qurbani) aur Eidul Fitr ke din Gusul Karna Chhaiye Eid ke din ghusul karna mustahab (behtar)amal hai. đź“š [sunan behaiqi,3/278, arwa ul ghaleel ,1/1177}

Libaas: Eid ke din behtreen libas pehenna mustahab (behtar)amal hai [sunan behaiqi, 3/281}

Sadqa E Fitr : Rasulullah sws ne Hukm Dia ke Eidul Fitr ki Namaaz ki Adaa Karne se Pahle Sadqa E Fitr Ada Kiya Jaaye( Bukhari & Muslim )

Khazoor khana: “Nabi Rahmat sws Eidul Fitr me Kuch khaa kar Namaz ko Nikalte , Aur Eidul Zuha me Namaz Padh kar khaate ( Timizi & Ibne Majha )
Rasulullah sws Eidul Fitr ke Roz Taaq Khazooren ( In Odd Numbers 1, ya 3, ya5) khajoor Kha kar Eid Gaah Jaaya Karte The. (Sahi Bukhari Hadith No.953 )

Raasta Badal kar Eidgaah Jaayen: Jabir bin Abdullah R.A se Riwayat hai : Rasulullah sws Eid ke din Eidgaah Aane Jaane ka Raasta Tabdeel Farmaaya Karte the. ( Sahi Bukhari )

Eid Ki Namaz aur uska Tariqa: Eid ki namaz Sunnat E mokkada hai 2 rakat, iss per ummat ka ijma hai, aur yeh namaz sirf jamat ke sath hi hogi. Akele me nahee.

#Aur eid ki namaz ke time per bhi ijma hai ummat ka ye zawal e aftab se pahele pahele​ rahega, jo makruh waqt shuru hota hai uske baad ishraq aur chasht ke darmiyani waqt me padhna sunnat hai.

Eid Ki Namaz Ke liye Adhan wa Iqamah Nahee:
Jabir Bin Abdullah R.A Se riwayat hai: Maine Rasulullah sws ke saath Eid ki Namz Padhi Aap ne Baghair Adhan Aur Takbeer ke, Khutbe se Pahle Namaz Paadhai : (Sahi Muslim : 775 )

Namaz ki Takbeer : Aisha Siddiqa Se Riwayat hai: Beshak Rasulullah sws Eidul Fitr aur Eidul Zuha ki Namaaz ki *Awwal Rakaat me 7* Takbeeraat Aur *Doosri Rekaat me 5 Takbeeraat* kahte. ( Abu dawood-722, Musannaf Abdur Razzak 297/3, Abu Dawood 1151 & Tirmizi )
*#Dono hi Rakat me {Takbeerat 7+5=12} Soorah Fatiha Padhne se pahle hongey.* Takbeer kahte huye kano tak ya kandho tak hath utha ke hatho ko bandhna afzal hai.

🙌Rafaulyadain: Abdullah bin umar ra Farmate hain ke Rasulullah sws har us Takbeer me Haath uthate jo Rukooh me Jane se Pahle karte , Yahan Tak ke Aap ki Namaaz Mukammal ho Jaati. ( Abu Dawood 722 , Musnad Ahmed 2/133 , Dar Qatani 1/ 279 )

Namaz me Quran ki Tilawat: Nabi Sws Juma aur Eidaain ki Namazo me Pahli Raakat me Soorah A’ala ( Ch: 87 ) Aur Doosri me Soorah Ghasiiya ( Ch: 88) Parhte. Aur sureh qaaf , sureh qamar bhi padhna sunnat hai. 📚 ( Sahi Muslim / mishkat 840&841)

*Eid ka Khutba Namaz ke baad hai aur Khutba Mimbar par na Padhen:*

#Rasulullah sws , Abu Bakr, Umar wa Uthman Radiallaho Anhum Pahle Namaz Padhte phir Khutba dete (Sahi Bukhari , 774 ) {iss hadith se yeh sabit hota hai ke Eid ki namaz se pahele khudba dena sabit nahee, balki Eid ki namaz ke baad khudba dena sunnat hain}

#Abu Saeed Khudri R.A ki hadeeth se maloom hota hai ke Eid gaah me Mimbar ka Ehtemaam Marwaan bin Hakim ki ahad me kia gaya. {aur isi Marwan bin Hakam ne namaz se pahele khudba dene ki biddat shuru ki} ( Sahi Bukhaari 956, Muslim 779 )

Sunnat wa Nafl Namaz: Ibne Abbas RA Se riwayat hai: Nabi Sws Eidgaah me Siwaaye Eid ki 2 Rakaato ke na Pahle Nafal Padhte na Baad me. (Naa tehatul masjid nahee tehatul wazu aur nahee aur koi nafl hai) (Sahi Bukhari: 964 )

Takbeerat; Takbeer, Tahleel, Tahmeed,  Abdullah Bin umar radialaho anho Eidul Fitr ke din ghar se Eid Gaah Tak Takbeerat kahte. 📚 ( Bayhaqi ) Allahu Akbar , Allahu Akbar, Allahu Akbar Kabeera kahna ( Bayhaqi ) yeh alfaz sabit nahi, yeh aisi Wale alfaz ki saari riwayate zaeef hai. *Fatawa Ilmiya me shaik zubair Ali zai R.A ne tasdeeq ki hain.*

✔Sahi riwayat se sabit Takbeerat:
Allahu Akbar, Allahu Akbar, Laa Ilaaha Ilaallah , wallaho Akbar , Allahu Akbar , Wa Lillahilhamd. ( Ibne Abi Shayba 5650 asar, ) [ Takbeerat Fazar ki Namaz se shuru Asar ki Namaz Tak hai. ]

Aurtho ke lie Hukm:- Umme Atiya Radiallaho anha kahti hain Hume Hukm diya Gaya hai ke hum Sabhi Aurtho ko hatta ke Haiz waaliyo aur Parda Waaliyo ko bhi Dono Eido me Gharo se Nikalen Taake wo sab Musalmaano ki Jamat Aur unki Dua me Haazir hoon. Aur Farmaya Haiz Waaliya Jaayen aur Namaz se Alag Rahen , Lekin Musalmano ki Duaoon aur Takbeero me Shaamil Rahen , Taake Allah ki Rahmat Aur Bakshish se Hissa Paayen.
Ek Aurat ne Arz kia ke Agar hum me se kisi ke Paas Chaadar na hoo to , Farmaya “ us ko uski saath waali Awrath Chaadar Aurha de . ( Bukhari 351 & Muslim 790 ) Note: haiza aurte sirf eidgah jaa sakti hai , masjid me nahee. Masjid me sirf paak aurte hi jaingi)..

Eid aur juma ager ek din ho to?: Eid ki Namaz ke baad Juma ke bare me , Nabi Rahmat sws ne farmaya “ Jo chahe wo Juma ki namaz ada kare aur Jo chahe Wo Ada na kare “ ( Ibne Majah )
Aisi soorat me usey Zuhar ki namaz Ada Karni hoogi.
Abu hurairah r.a se riwayat hai ki nabi akram(sws) ne farmaya:- aaj ke din do eiden(eid aur juma) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur juma) dono padhenge”(abu dawood al juma 1070-1071, 1073)

#Abdullah bin zubair r.a ke daur me juma ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai juma na padhaya, is waqeye ki khabar ibne abbas ra ko mili to unhone farmaya:-” unka yah amal sunnat ke mutabik hai”( Sunan nisaai salatul eidain 1593, imam ibne khuzaima ne sahih kaha hai), lekin yaha yaad rakhe juma ke din eid ho to eid ki namaz padhne ke baad jo juma ki namaz padhna chahe padhe jo naa padhna chahe na padhe , lekin jo is din juma naa padhe to unhe zohar zaroor padhni hai. Zohat muaaf nahee hogi..

Eid ki Mubarakbaad ke Alfaaz : Sahaba R.A Eid milte waqt Ek Dusre se yeh kahtey “Taqabbal Allahu minnaa wa minka” (Allah hum se aur aap se qubool farmaye).*(Fath-ul-Bari, 2/446 Sanad Sahee)
Lekin EID mubarak kahna bhi jayz hai par upar wali dua kahna Rasool s.a.w. aur sahabao ki sunnat hai.

Eid ke Din Khushi Manana: Muttafukulane hadees hai Sahi bukhari 952 wa muslim ki Mishqat me hadees no. 1432
Amma ayesha r.a kahti hai kisi eid ke din mere ghar me 2 bachchiya duff bajati huyi naghme gaa rahi thi, ansar ke jangi karnamo ki (jayaz milli naghme, jangi tarane) To abu bakar r.a agaye aur daata , kahne lage yeh kya karr rahe ho, music yeh sabb shaitani kaam hai, to nabi s.a.w wahi lete theh chadar odhe aur chadar hatakar kahne lage aye abu bakar inn bachchiyo ko chod do, harr qaoum ki eide hai aaj hamari bhi eid hai khushi ka din hai khushi manane ka.

To pata chala ki Jayaz music jaise duff bajana aur jangi naghme ganaa jo jayaz alfaz hai yeh bhi jayaz hai eid ke din, lekin parde me rahkar.

Akhir me Allah ta’ala se dua hai ke Allah hum sab ko Qur’an aur saheeh Hadees per amal karne ki nek taufeeq ata’ farma’e. Shirk aur Bid’ath ko pahchanne ki tameez ata’ farma’e aur Shirk wo Bid’ath se Allah hum ko mahfooz rakh’e. Aur Allah hamm Sabki Tamam Ramdhan ki IBADAT’O ko Qubool Farmaye Ameen, Allah Mujhe aur un logon ki zindagy aur maut isteqamat per rakh’e aur un logon ko sehat ata’ farma’e aur un logon ki kama’i me barkatein, rahmatein nazil farma’e jo is message aur Ramdhan ke tamam Mas’ala ko padhne me amal karne me aur dusro tak pahuchane me mehnat ki, mashaqqat utha’e, waqt diye aur sarmaya laga’e. Allah ta’ala unki koshishaun ko qubool farma’e. Ameen Dua’un ka talabgaar. Ek ahl’e khair Apka Bhai/Dost Subhani Nadeem.

Prepared By: Subhani Nadeem

👤Share with others👤 👆👉will get sawab e jariya (Surah Asr).

About Subhani Nadeem

Main Akela hi chala tha janibe manzil magar Log sath aate gaye aur Karava banta gaya....!
This entry was posted in Uncategorized. Bookmark the permalink.

Leave a comment